“GHURBAT O IFLAAS KA KHATMA”
Mashrey ki sar bulandi, dilon ki awaz hai parveen,
Ghut ghut jeetay hain, ghut ghut martay hain,
Din raat aik kar deti hai parveen,
Gharon ki tangdasti o dilon ki piyas,
Roz kuch na kuch ujagar karti hai parveen,
Masharti sargarmiyan hon ya apasi masail,
Her kisi ko pur josh andaaz mein hal karti hai parveen,
Kabhi daal roti, kabhi gosht sabzi,
Teen rupay mein thali bhar deti hai parveen,
Ameer ki badsulooki, ghareeb k dhang,
Bahtareen khilaaf varzi karti hai paveen,
Jahan apnaiyat, muhabbat aur husan e sulook hai itni,
Wahan ghareebon ko hausla o himmat deti hai parveen,
Ghurbat o iflaas ka khatma hai parveen,
Mashrey ki sar bulandi, dilon ki awaz hai parveen.
0 comments:
Post a Comment