“MOBILE KI KAHANI
USKI ZUBANI”
Daur-e-jadeed
ki agar baat ki jaey to mjhe khasi ehmiyat hasil hai. Jahan roti, kapra aur
makaan say avam tangdasti ka shikaar hai. Wahan avam ko ko himmat, hausla,
shughal aur tafree bakshnay wali sheh may hi hun. Umeed ho ap sab mjhe pehchan
gaey hongay. Akhir hamara sath bhi to choli daman ka hai.
Ji han,
may hun apka yaar, dilo ka bahar, raaj dulaar…. Ap sab ka apna mobile phone. Na
rabtay ka jhanjat, na khutoot risani mein musibat. Duaen dijye MARTIN COOPER ko
jis nay mujhe ejaad kr k ap sab ki mushkilaat ka hal nikaal diya. Kuch arsa
pehlay ka zikar hai k tamam doston nay mulaqaat ka mansooba tarteeb diya.
Sangat mein shamil MAY, Radio aur T.V bila shuba behad pakkay yaar thay.
Mud’dat bad hum sath bethay hansi thatol kar rahy thay. Bethay bethay gappay
aur shughal k dauraan achanak T.V ki tabiyat khasi kharab honay lagi, jal buj
honay laga. Ye to ab aikeesvi sadi ka daur hai yahan load shedding ma’amul k
mutabik aati aur jaati lehaza T.V ko badhazmi hona mumkin tha. Hamari dua thi k
T.V jald sehat yaab ho jaey kyun k isay
khidmat-e-khaluq ka behad shauq tha. Duaen kartay huay mjhe kuch
hichkiyaan si aani shuru hogaen, ahista ahista ghabrahat barhnay lagi, waqfun
ta waqfun dil laraznay laga, yun keh lijye k sansein tham si gaeyn aur may
susti k maray behoshi k aalam mein tha. Rehman Malik ko bhi koi dushmani hai
mjh say. Ya to sehar mein badamni ka muzahira krta nazar aata hai. Kuch aur nhi
to mobile per zulm-o-sitam kar k avam k dilon ki dharkanein tornay mein laga rehna to Malik sahab ka baaeyn hath ka khail ban
chukka hai.
Meray
maa’yaar , sarbulandi, izzat, shohrat ko jitni bhi thais pohcha lay yahan tak k
mjhe coma mein bhi bhaij day lakin mjhe avam k dil-o-dimag say her giz juda
nahi kar sakta.
0 comments:
Post a Comment