" YOUM-E-PAKISTAN AUR IQTIDAAR KI JANG"

Wo waqt jab tamaam logon k jazbaat aik hi maala mein peeroey huay motion ki manind thay. us wqt na koi sindhi tha, na koi balochi, apas mein na to koi rishta tha na hi koi jan pehchaan.. in logon k pas koi zameen nhi thi aur isi husool e zameen nay inhay aik kar diya tha. ye wo wqt tha jisay qaum ny aik khowab say haqiqat mein tabdeel kr k mashray mein aik nae misaal qaim ki. wo waqt 23 march, 1940 tha jab musalmano k husool e watan k liey aik karardaad pais ki gai jisay qarardaat e pakistan kehtay hain, jis ki yad k liey Minaar e Pakistan qaim hai.
Kal jo sirf Pakistan tha, aj wohi Pakistan buray andaaz say firkoon mein jakra hua hai. roz honay walay hadsaat jesay baldiya town(karachi), badami bagh(lahore), abbad town(karachi), target killing, band daketi wagera wagera say barhtay huay mashi masail say barhnay wali badamani !!
larnay walay bhi hum hain.. laranay wali bhi hum hain, mashray mein fahashi phailany walay bhi hum hain.. mazaq uranay walay bhi hum hain.. kaun khush hai kaun pareshan, kaun jee rha hai kaun mar rha hai, humay koi sar o kaar nhi, ye hai aj ka Pakistan.
Aj humay 23 march ki tareekh to yaad hai lakin is ki hasiyat nahi to pher hum ki baybuniyaad burayaan karnay ka bhi koi haq nhi rekhtay..
'' khunkhar darindon ke faqat naam alag hein
insan mein haiwan yahan bhi hein wahan bhi ''
Hum jitni zyada taqleefein sehna, qurbaniyaan dena seekhyngay.. utni hi zyada pakeeza, khalis aur mazbood qaum ki haseeyat say ubhrengay.. hum sab aik hain aur ye masnooi hadbandiya hamein alidaah nhi kr sktin.



0 comments:
Post a Comment