NEWS TICKER

Misbah and green shirts aimed for the title 11.20PM PST...MQM will contest for election despite of being targeted 8.36PM PST...Musharraf shifted to Islamabad police headquarter 9.54AM PST...

slide show

  • Out Of The Box...

    Think different to be different
  • AUTHORS

    The Imaginative thinkers
  • Themes Of The Week

    Every week you will be welcomed by a new theme...which will be surely different from prevoius one
  • Themes Of The Week 1

    Story
  • Themes Of The Week 2

    Picture
  • Themes Of The Week 3

    Articles
  • Themes Of The Week 4

    Food
  • Themes Of The Week 5

    FreeStyle

Tuesday, 19 March 2013

Post6 (19-march-2013)

AIK ADHOURA KHAWAB (DREAM)

Hum rozana najanay kitnay khawab dekhtay hain kabhi kofzada krnay walay or kabhi achay khawab jo hamay umeed dai jatay hain. mai hamaisha yehi sochti hou kay ye sb khawab  bay maqsad hotay hain ya baa maqsad lekin aj tak kisi natijay par na pohanch saki. Aj mai apko apni zindagi mai rohnoma honay wala aik khawab btati hou jo bazahir aik khawab hai laikin isnay mujhay itna purumeed kia kay ye mujhay haqeeqat maloom hoa . is khawab mai mainay pakistan kay roshan mustaqbil ko dekh dala jis ko dekh kr mairi ankhon se ansoo jari hogaye yani mainay dekha kay pakistan phir se apnay usi maqam par pohanch gaya hai jis kay liay ye mulk bnaya gaya tha. wohi aman-o-amman ka zamana lot aya hai wo befiqri ka zamana jahan na firqa wariat ka shoor , na qatal-o-garat giri, wohi hotalon ki zeenat bahaal hogai hain , or wohi picnic ka zoor shoor jari hai , wohi bachon ka azadi se bahar khelna kodna , wo roshan mahool har taraf khoshi ka sammah . yaqeenan ye wohi halaat thay jin ka mai apnay waldain se zikar suna krti thi .is pursakoon mahool mai mainay apnay aap ko tamaam pareshanio se alag thalak paya .lekin Jb aankh kholi or bahar jakar tv khola tu wohi pareshani bhari khabray pai , wohi bahar se logoon kay larnay  jhagarnay ki awazain ayen, wohi pareshani bhara mahool paya  tu mehsoos hoa kay mai pori raat jis kahani ki manzar kashi karti rahi wo dar haqeeqat jhoot tha aik khawab tha  or maira dil bujh sa gaya or wo din 23 march ka din tha jo pakistan kay liay buhat ahmiat ka hamil hai . laikin mujhay phir bhi umeed hai kay mairay is khawab ki kabhi na kabhi tabeer hojaye is khawab nay mairay dil mai aik umeed se jagadi. hum sab agr apnay apnay lehaaz se koshish krain tu pakistan zaroor tarraki ki rahon par gamzan ho payega.

1 comments: