Kal kisne dekha hai...
Aney wale kal ke bare mein soch ke hi buhat khushi horahi thi dil tou full garden garden horaha tha..suba ke intezar mein neend ka tou dur dur tak ata pata hi nae tha...aisa lag raha tha jaise kal suba hum log picnic pe jane wale hain. wow! kitna maza ayega kal..ye sochne mein pata nae kab neend agayi or jab ankh khuli tou suba ke 7 baj rahe theiy...Atlast wo mazedar suba agayi jis ka do teen dino se intezar tha..fatafut tayyar hoyi or baba ke sath nikal parhi jane ke liye...jab muqrara jaga pe pohanchi jahan humne gather hone ka decide kiya tha tou meri friends wahan khari thi or meri tarah wo bhi jane ke liye buhat excited thien...or isi ke sath final destination par pohanchne ke liye hum sub jab sawari mein sawar hoye...bus! bus chalne hi wali thi keh...arey ye kya...o bhai ye kya horaha hai??? ek hutta katta admi bus mein dhan dhanata hua charh gaya...or bola ye bus to nahi chalegi utro sub...kuch seconds ke liye to aisa laga ke hum sub kidnap horahe hain..phir maloom hua ke ye tou TJ matlab Torture jamia ka ahalkaar hai...pehle tou humne bus se utrne se inkar kardia par phir utrna hi parha or kar bhi kya sakte hai...behr-e-haal hum sub ko TJ ke andr le jaya gaya...hum mein or khatrnak mujrimo mein bus mein itna sa fark tha ke un ke munh par kapra hota hai or humare munh khule theiy...ahem ahem...Is ke agey ki ab dastaan mujhse sun...ek ishtihari mujrim mera matlab hai wanted criminal ke tamam emotions us adhe ghante mein hum ne mehsoos kar liye...Uff! kya manzar tha aisa lag raha tha ke hum saza-e-maut ka intezar karahe they keh achanak apne kuch rohani waldein nazar aye to khayal aya ke achaww..ye to koi aur jaga nahi balke apni pyaari dars gah hai...wohi dars gah jo kuch dinno ke baad pabandi gah bun jaye gi..khair baad ki tou baad mein dekheinge kyun ke kal kisne dekha hai...but for the time being...hum ek nihayat hi bade aur khatrnak mujrino ki tarah sheikh ul jamia ke hujre ke bahar apni izzat afzai ka live telecast dekh rahe (badnaam hoye tou kya hua naam to hua) haye re yehi soch ke dil ko tasalli de rahe they...thodi deir baad humein sheikh ul jamia ke hujre se apne dept beijh diya gaya aor wahan humein ek class mein almost lock kardiya gaya aur kaha keh ghar walon ko bulao tou jane deinge...literally aisa lag raha jaise hum kisi illegal spot se pakre gaye hain...or ab to bach nikalne ka koi rasta nahi hai..khair marta kya na karta akhir kar ghar walon ko bulwaya aur apne begunah hone ka suboot dia or apni jaan chhurai...or haaaaaannn...apne qadam bahr ki taraf nikalte hoye apne abba huzoor se le kar unke par dada mohtram tak ki tauba ki ke ainda kisi seminar mein nahi jayenge...seminar mein toh kya convocation tak mein jane ki jurat nahi kareinge...aur toh aur TJ ke bahar jo har dil ki pasand hai wahan kabhi ghar walon ke sath bhi is khauf se nahi jayenge keh...KAL KISNE DEKHA HAI...
Socha bhi nahin tha itna ghalat ho jaega. koi ghalat niyat nahin thi phir bhi humare sath bura hua. Pakistan isi na insaafiyon ki wajah se aj tak taraqi nahin kar pa raha hai. yahan citizens se le k family members main ittefaat,bharosa, aur ittehaad nahin hai. Allah rehem kare... Dukh hua k aik taleemi idara esi ghalt soch rakh skta hai.
ReplyDeletesanoobar very good u took stand against that mess up :-) well written
ReplyDeleteThanx for the appreciation Ma'am
ReplyDeletebahot hi achay andaaz mei apna dil halka kar kiya tumne ... mera bhi dil garden gaeden hogya isse parh k :)
ReplyDelete