“IMTIHAAN AKHIR KHATRA KYUN??”
Board k imtihaan shuru honay ko hain. Tamaan tabil
e ilm din dugni raat chogni mehnat o mushaqat mein masroof dikhaey detay hain. Khatray
ki ghantiyaan subha o sham baj rhi hain. Puray saal mehnat karnay k bad bhi
akhir ye imtihhaan khatray ki waja kyun??
Baaz talib e ilm aesay hotay hain jo aghaaz e
saal say lay kr ikhtetaam tak khoob mehnat kr k taman imtihaani marahil mein
achay darjaay say kaamyab hotay hain...
Lakin wohi imtihaan mein wo kamyaabi hasil nhi kr
paty jo kaamyabi wo puray saal mehnat kr k hasil kartay hain. Iski aik eham
wajha dar, khouq aur khatra hai jo amuman
her imtihaan k waqt bacho ko buri
tarhan apnay qabzay mein kr leta hai.
Aesi pareshani k bais mehnat,, kamyabi k bajaey
nakaami mein tabdeel hojati hai.. jiski chand wajoohaat ye hain k :
Imtihaan hamari zindagi ka hissa hai, isay jeenay
aur marnay ki wajha na banaya jaey. Apnay ghar mein pur sukoon mahul paida
kijye, is tarhan bachay mukhtalif zehni dabaao say mehfooz rehtay hain. Jo mazmoon
yad karen usay dohrana rozana ka maamool bana len, is tarhan mazmoon apk dimag
mein mehfooz ho jaeyga. Timetable tarteeb dijye aur imtihaan ki tayari mein her
mumkin madad kijye.
Mukhtalif sargarmion mein masroof rehna aur
parhai p puri tarhan tavajuu na dena, khaas aur mushkil mazmoon ko darguzar
karna, mukhtasaraan ya zarurat say zyada kisi mazmoon ko samjh lena, parhai ko
lay k waldain aur ustad ka bachon per
dabaao..
Ye chand wajuhaat ho sakti hain jin ki wajha
musalsal nakaami hai. Parhai ko tulbaa o talibaat per bojh bananay say unki
choti kaamyaabi bari nakaami mein tabdeel ho sakti hai lehaza zehan per dabaao
dalay baghair her mazmoon ko tulba o talibaat k zehan k aytabar say smjhana,
shaksiyaat per manfi asraat janam lenay say mehfooz rakhta hai.
Imtihaan hamari zindagi ka hissa hai, isay jeenay
aur marnay ki wajha na banaya jaey. Apnay ghar mein pur sukoon mahul paida
kijye, is tarhan bachay mukhtalif zehni dabaao say mehfooz rehtay hain. Jo mazmoon
yad karen usay dohrana rozana ka maamool bana len, is tarhan mazmoon apk dimag
mein mehfooz ho jaeyga. Timetable tarteeb dijye aur imtihaan ki tayari mein her
mumkin madad kijye.
Dimagi tavazun tar o tazaa rakhnay k liey khail
khailnay ko bhi ehmiyat dijye is tarhan dimagi tavazun tazah rahega aur bachay behtar mehsoos karengay. Bacha agar na parhay to inki madad kijye, inki
soch k mutabik samjhaeyn, dantnay say guraiz kijye. Aik nhi ko aik haan mein
tabdeel karnay ki koshish kijye is say na sirf zehni nasho numa hogi balkay
mustakbil k liey kamyabion k raastay khul jaeyngay.







0 comments:
Post a Comment