“UBHARTAY DAUR KI BARHTI BEEMARI”
Is
mashray mein jahan chars aur heroen ko khasi ehmiyat hasil thi isi tarhan cigarette
k bad ab “shisha” bhi naujavan k dilon per raaj kar k in ka pakka dushman ban’nay
ka thaus sabot paish kr rha hai. Maujooda
halaat mein cigarette k bad ab shisha naujavan larkay, larkion, mard hazraat
hon ya aurtein,, tabahi ka bais ban kar numaya kirdaar ada kar rha hai.
Naujavaan
nasul shisha bataur fashion istimaal kar
k khud per fakhar mehsoos kartay hain lakin wo shaid ye nhi janaty k ye kis had
tak mohlik aur jan leva sabit ho sakti hai. Hukka ki revayat takreeban 300 saal
purani hai jisay ab shisha k nam say aalaa maqaam hasil hai. Hukka banana k lye
tambakoo ka istimaal kiya jata hai, is ki jaded qism shisha hai jis mein
tambakoo ki mehak ko posheeda rakhnay k
liey sweet flavours istimaal kiey jatay hain.
Shisha
may maujood takreeban 40% tambakoo, 60% flavor aur kimyai maujood hota hai.
W.H.O k mutabik 20-25 million afraad is jaan leva nashay mein mulav’vis hain
jin mein 36% larkay aur 22% larkian shamil hain. Shisha k istimaal say cancer
ka khadsha mumkin hai jab k is ki mehak say nikalnay wali kimyai maujooda
afraad k jism ko apni lapait mein lay leti hai. Is say na sirf mahaul aaludah
hota hai balkay ye intahai muzir-e-sehat bhi hai. Chand barson mein Pakistan k
sath sath india, china aur Bangladesh mein bhi shisha ko khas maqboliyat hasil
hui hai.
Pakistani
qanoon k mutabik 16 saal say kum umer naujavaan per cigarette ki tarokht per
pabandi aa’id hai. Saval ye hai k
barhtay huay naujavaan per is ka intimaal aur farokht akhir kyun jaiz
hai? Jab k cigarette k packets per bhi likha arha hai “tambakoo noshi
muzir-e-sehat hai” is k bavajood bhi hum is say chutkara hasil karnay mein
nakaam hain.
Is k
khilaaf qanooni karavai ki jaey aur naujavaan nasal ko barbadi k dhanay per
chalnay say mehfooz kar k tahafuz faraham kiya jaey. Nasha insaan say is ki
taqat aur achay buray ki tameez cheen leta hai is liey zaruri hai k shisha ki
lanat tark kar k saaf suthri zindagi basar ki jaey.
0 comments:
Post a Comment