NEWS TICKER

Misbah and green shirts aimed for the title 11.20PM PST...MQM will contest for election despite of being targeted 8.36PM PST...Musharraf shifted to Islamabad police headquarter 9.54AM PST...

slide show

  • Out Of The Box...

    Think different to be different
  • AUTHORS

    The Imaginative thinkers
  • Themes Of The Week

    Every week you will be welcomed by a new theme...which will be surely different from prevoius one
  • Themes Of The Week 1

    Story
  • Themes Of The Week 2

    Picture
  • Themes Of The Week 3

    Articles
  • Themes Of The Week 4

    Food
  • Themes Of The Week 5

    FreeStyle

Wednesday, 10 April 2013

Post29 (10-april-2013)

                      KARACHI AUR ISKAY MASAIL :-


Karachi shehar kuch arsay pehlay tak pakistan ka dil aur roshniyoun ka shehar kehlaya jata tha jahan par har rang-o-nasal aur har mazhab kay loug abaad thay. jin mai muhabbat, akhoat aur bhai chargi haad darjay ki bhari hoi thi . lougoun kay paas wasail na honay kay bawajood rishtaydaar aur dost aehbaab aik dosray ki khushiyoun or gham mai aik dosray par jaan nichawar karnay ko taiyaar rehtay thay.

                   


             Lekin jaisay jaisay hamara mulk tarakki ki raah par gamzan honay laga yahan tak kay is shehar mai logoun kay paas bari bari gariyan, telephone, mobile, aur dosri saholiat mai izafa hota raha wahin unkay dil chotay hogaye, aik dosray say bahimi taluqaat mai douri aur is shehar kay masail mai izafa hota chala gaya aik dosray se barh kar agay nikalnay ki joustujo nay logoun kay dilo se sahi aur galat,  jaiz  aur najaiz aur achay aur buray ki tameez khatam kardi. jis ki wajah se logoun mai pyar muhabaat na sirf khatam hogaya balkay nafsa nafsi ka alam hogaya. Jo shehar karachi roshniyoun ki wajah se mashoor tha wo rishwat satai, loot maar, qatal-o-garat giri ki wajah se dunia ki tawajah ka markaz ban gaya .yahan tak kay  dehashat gardi ka bool bala hogaya aur bhatta khori jaisay jaraim aam hogaye.jahan gareeb, gareeb se gareeb tar aur ameer, ameer se ameer tar hota chala gaya aur mehangai ka aik tofaan khara hogaya , treffic kay masail barhtay chalay gay, khel kay maidaan jahan bacho ko khelnay kay liay jaga maisar nahi ati thi wo khel kay maidaan veraan hogaye aur ab wo bachay siyasatdano kay parcham talay nazar atay  aur inkay kehnay par har us rastay par chalnay ko taiyaar hain chahay wo sahi ho ya galat , is shehar mai laaqanoniat haad se zyada barh chuli hai jis ki wajah se aye din hangama honay ki wajah se karobaar, taleem, nokariyan bilkul khatam hochuki hain. jis ki wajah se karachi shehar ki awaam ka bara hissa zehni mareez aur doosri bemariyoun mai ghir chuka hai. sair-o-tafree jo karachi ka khasa tha ab dekhnay ko bhe nai milta .
             
                                             


                 Is shehar kay logoun ki khawaish hai kay is shehar ki khoushian dubara lot ayen aur aman-o-sakoon bahaal hojay. is kay liay sab ko milkar kaam karna hoga aur qanoon ki hukmarani lani hogi . Is kay liay awam ki zimaidari hai kay anay walay election mai apni zimaidari ka bharpoor muzahira karen aur guzishta dino ka aehtaisaab kartay hoay aisay logo ko barsaray iqtedaar laye jo awaam ki pareshanio or dard ka aehsaas rakhtay hoay is ko khatam karnay ka irada rakhtay houn aur jo apnay dil mai khof-e-khuda rakhtay hou.
                                         

0 comments:

Post a Comment