Sawaliya Nishan
Yun to es waqt pore mulk me hi aman o aaman ki surat
e haal itminan buksh nai khususan karachi
me to aam o khaas admi ki zindagi ajiran bani hui hai. Aik taraf bijli ka
bhuran, mehngai, berozgari toh dusri taraf aman o amaan ki kharab surat e haal
street crimes, loot maar dehshat gardi or katal o garatgiri ka raaj hai taget
killing ka silsila to mamol ban gaya hai jis per log ye kehte dekhai dete hain
k ab Karachi me aman hai magar es aman ki halat me roz hi 10 se 15 afrad ko
mout ki neend sola diya jata hai jo mamol ki baat hai. Har roz tajir, dukan
dar, rikhshaw taxi driver, nojawan, bachy aur khawatein jaisay masoom shahri,
siyasi o mazhabi rehnoma aur karkun namaloom afrad ki goli ka nishana to bante
hi hain lekin rangers aur police ehalkar jo aam shahriyun ko tahafuz farham
karte hain khud in namaloom afrad ki goliyun ka nishana bane hue hain. Aur
kabhi ye namaloom afrad adhe ghanty me pora shahar band kara dete hain aur
qanoon nafiz karne wale idare dekhte hi reh jate hain. Rozana katal o gharat
giri ki wardatein or us k bad dharnay or hartal mamool bn gaya
jis se hazaron logon k ghar k chiragh to gul hote hi hain lekin cholah bhi bang
ho jata hain.
Magar afsos hukumat k kaan per jon tk nai reengti.Karachi
k aman k liye koi hukumati iqdam kyun
nai utae jate? Karachi jo kabhi
roshaniyun ka shahr keh laya jata us k chiragh kyun gul kiye jar he hain? En ki
hifazat ki zimadari kis per aaid hoti hai? Kya Karachi Pakistan
ka hissa nai? Es shahr per hukumat e Pakistan
ka koi qanoon kyun nai chalta?
Magar afsos hukumat k kaan per jon tk nai reengti.
0 comments:
Post a Comment