NEWS TICKER

Misbah and green shirts aimed for the title 11.20PM PST...MQM will contest for election despite of being targeted 8.36PM PST...Musharraf shifted to Islamabad police headquarter 9.54AM PST...

slide show

  • Out Of The Box...

    Think different to be different
  • AUTHORS

    The Imaginative thinkers
  • Themes Of The Week

    Every week you will be welcomed by a new theme...which will be surely different from prevoius one
  • Themes Of The Week 1

    Story
  • Themes Of The Week 2

    Picture
  • Themes Of The Week 3

    Articles
  • Themes Of The Week 4

    Food
  • Themes Of The Week 5

    FreeStyle

Friday, 12 April 2013

Post34 (12-April-2013)

                            Bus Ka Safar


Aaj k din ka hum sheedat se intezar kr rhe thy jabhi subha sawere uth gae aur office janey k liye suit boot pehan kr tayar ho kr apni qadeem motar cycle per sawar hue or abhi start hi hui thi k band ho gai aur pher chalne ka naam hi nai liya na chahtay hue bhi humne bus me janey ka faisla kiya aur bus stop per pohnch gae. Bus stop  per pehly hi machli bazaar bana hua tha aur bus me charhne walon ki tadad es qadar zada thi k  bus stand per khara hona bhi mohal tha. Taiz dhoop,shaded garmi k bais paseenay chot rhe the. Abhi hum yahin sochne samjhne me ghoom the k najanay aaj office pohanch kar hamare sath kya hoga. Itne me hamari bus agai aur log aik group ki surat me bus me char gae. Hum bhi koshish kar k bus k andar ghoos gae bus reeng reeng  kar apni manzil tahh kr rhi thi conductor ka huliya alag haal bata rha tha k jaise koi majnu. Achanak hamare sar k uper hi daig bajna shuru ho gaya. Shadeed garmi aur es dhakam pail me kuch hi safar tahh hua tha k koi sahib humare paon per charhy k humare oosan hi khata ho gae dil to chah k es admi ko khari khari sunae lekin phr gehri gehri saasein le kar ghussa thanda kiya. Itna safar tahh krne k bad bhi office ka naam o nishan nai tha. Tie jo humne bare shooq se pehni thi k ab wo humare gale me aesa phansi k phansi ka phanda maloom ho rhi thi. Jhooty jo kafi mehnat se chamkae the ab matti me att chuke the. Waqt taizi se guzar rha tha lekin ye bus kam gadha gari zada maloom ho rhi thi jo ahista ahista apni manzil ki taraf gamzan thi. Allah Allah kr k humara bus stop aya ab ye dusra marhala  bus se utarne ka tha. Logon k rash me se bus se nechy utarne me kamiyab ho gae. Jab  office k darwaze per pohnche to wahan ka chaprasi bhi hume aesi nazron se dekh rha tha jaise hum koi chor hon jo jail se bhage ho. Es liye humne socha k hum pehle apna huliya dorust kr len phr office me dakil hoon. Qareeb hi nayi ki dukhan me jhanka to ek admi per nazar pari pehle to hum dar gae k  ye kon hai per ghor se dekhne per pata chala k ye to humara hi aks hai khair hum apna huliya dorust kar k office pohnche to pata chala k interview ka waqt khatam ho chukka hai lehaza ab hume kal ana hoga. Ye sun kr to humare uper bijli si gir pari. Aur aik bar phr bus ka safar karne k liye hum khud ko tayar karne lage.     

0 comments:

Post a Comment