Mashray Mein Media Ka kirdar
Aaj ki duniya mein media ne humari zindagi me apni aik khas
jaga bana li hai. Agar ye kaha jae k humne media ko urrna bhejhona bana liya
hai toh koi es baat se inkaar bhi nai kr sakhta k media duniya ko chota bana ne
me bohat aham kirdar ada kr rha hai chahay wo radio, television, akhbar aur
internet mukhtalif zarayen hain. Hum bari tadad me apne ird gird k logon se
rabta karne k qabil hote hain. Humare liye internet bohat zarori hogaya hai. Aaj
kal hum apne doston aur durdaraz rishtaydarun k sath rabtay me rehte hain.Jo k
har shaks k liye zarori ban gaya hai. Apne doston se rabtay k ilawa media hume
duniya k tamam halat o waqiyat k bare me aagha krta hai. Agar ye kaha jae k
media mashray k bare me es tarhan aakasi krta hai jis tarhan aaiina toh ye
kehna sahi hoga.
Media har khabar or us se mutaliqa maloomat ko har aam o
khaas admi tak pohnchata hai.Media ne hamesha mashrey me aik aham kirdar ada kr
rha hai or kr rha hai.. Ye aaj taaz door rha haior e ski dour tak raasai hai.
Es tarhan mashrey me es ki zaroorat ban gai hai. Ye aik haqiqat hai k media ne
kafi had tak logon k zehan or zindagi ki tashkeel me aahan kirdar ada kiya hai.
Es se hume hamari qomi salmiyat or pur aman rehne me madad milti hai.Es k ilawa
bhi baz nazuk mamlat jaisey sheriyon k jan o maal ka tahafooz or dosre mamlat
jaise qomi mafadad or hukomati satah k faislon k mutaliq raye ki tashkil me
aham kirdar ada krta hai. Ye zarori hai k media humare liye monasib or ache
tareeky se kaam kare. Media ko chahiye k wo jo maloomat farham kr rhe hain wo
sach per mabni hoon or es k pehlu se awam ko aagah Karen.
0 comments:
Post a Comment