Aurtoon K Huqooq Ki Pamali
Wo bohat dukhi thi ese samjh nai aa rha tha k wo kya kare kaise
apne dukh ki dastan sunae kyun k es k apne hi es ka sath chor gae maa lachar
aur be bas thi kyun k es k shohar ne es ki akloti beti ko 60 saal k admi k hath
bech diya tha.ye kahani kisi aik aurat ki hi nai balke mashray ki har dusri
aurat aese hi kisi masle se du char hai.
Waise to betiyun ko rehmat kaha gaya
hai. Lekin humare masher me inhe zehmat
samjha jata hai. Agar kisi k ghar me beta paida ho jae to khushi ka sama hota
hai lekin es k bar aks ghar me larki paida ho jae to ese manhoos samjha jata
hai. Jab taleem ki baat ati hai toh larki ko taleem hasil karne se ruk diya
jata hai aur ye kaha jata hai k larki zaat taleem hasil krne k liye nai.
Qabaili ilaqun mein toh ye samjha jata hai k larki taleem hasil krne se bigar
jati hai. Log ye bhool jate hain k islam me taleem mard aur aurat dono per farz
hai.Humare yahan log ye samjhte hi nai k aurat parh likh kar mustaqbil me apne
bachun ki achi taleem o tarbiyat kar sakti hai aur yahi bache mulk ka mustaqbil
hote hain goya aik aurat ko taleem dena aik pore khandan aur masher ko taleem
dene k barabar hai. Jab larki ki shadi ki baat ho es ki kam umri me hi shadi
kar di jati hai. Larki ka jehaiz susral me bohat ahamiyat ka hamil hota hai or kabhi
to larkiyun ko jehaiz ki wajah se tana
diya jata hai. Es ko hakarat ki nazar se dekha jata hai aur zulm ka nishana
banaya jata hai.
Agar koi larki majboori me ghar se nikalti hai ya apne haq k liye awaq uthane
ki koshish karti hai to yahi mashra es ka jeena haram kr deta hai.
Kyun aik larki age nai bhar sakti?
Kyun en ko zaati ka nishana banaya jata hai?
Kyun aik larki ko es ka muqam nai milta?
Akhir kyun?
0 comments:
Post a Comment