Pakistan ko dunya kay naqshay par aye hoaye 65 saal guzar gaye lekin is taveel arsay kay baad bhe hamara mulk apnay maqasid se buhat dour hai na tu yahan aj tak islami nizam qaim ho saka or na he sahi jamoriat qaim ho saki.
Pakistan mai jamoriat ko parwaan charanay ki buhat koshish ki gai lekin kabhi tu fooji amriat raah mai hail hoi tu kabhi janibdarana election nay jamoriat ko nuqsaan pohachaya 2008 kay election kay baad pehli baar kisi muntakhib hukumat nay apnay panch saal poray kiay lekin in panch saaloon mai bhe pasti ki taraf jati rahi or ye hukumat bhe awaam ko badamni, mehangai, or corruption kay ilawa kuch na daisaki. Guzishta hukumat ka waqt pora honay kay baad aik nigrah hukumat qaim hoi or naye election 11may2013 ko karanay ka elaan kia gaya or ab tu buhat he kam din baqi reh gaye hain lekin election ki sargarmia guzishta election ki tarha nazar nai ati , na tu pehlay ki tarha jalsay jaloos shuru hoay hain or na he karkunno kay naaro mai garam joshi hai yaqeenan uski aik bari wajah dehshad gardi ka khof hai or aam awam tu waisay he siyasi partiyoun or leaderoun se naraz nazar ati hain .kyounkay in 65 saalon mai awam kay masail kay hal kay daway tu buhat kiay gaye lekin in par amal na hosaka.. lekin is kay bawajood is election ko naye pakistan bananay or awam ki taqdeer badalnay kay daway kiay jarahay hain
Anay wala waqt in dawoon ki haqeeqat tu samnay lai he ayga lekin awam ki bhe zimaidari hai kay wo is mulk ki taqdeer badalnay or khush haali kay liay apni zimaidari mehsoos krtay hoaye aisay logoun ko muntakhib karay jo is mulk ki taqdeer badalnay ki sakhit rakhtay houn .
0 comments:
Post a Comment