NEWS TICKER

Misbah and green shirts aimed for the title 11.20PM PST...MQM will contest for election despite of being targeted 8.36PM PST...Musharraf shifted to Islamabad police headquarter 9.54AM PST...

slide show

  • Out Of The Box...

    Think different to be different
  • AUTHORS

    The Imaginative thinkers
  • Themes Of The Week

    Every week you will be welcomed by a new theme...which will be surely different from prevoius one
  • Themes Of The Week 1

    Story
  • Themes Of The Week 2

    Picture
  • Themes Of The Week 3

    Articles
  • Themes Of The Week 4

    Food
  • Themes Of The Week 5

    FreeStyle

Thursday, 14 March 2013

Post1 (14-March-2013)



“MOBILE KI KAHANI USKI ZUBANI”


Daur-e-jadeed ki agar baat ki jaey to mjhe khasi ehmiyat hasil hai. Jahan roti, kapra aur makaan say avam tangdasti ka shikaar hai. Wahan avam ko ko himmat, hausla, shughal aur tafree bakshnay wali sheh may hi hun. Umeed ho ap sab mjhe pehchan gaey hongay. Akhir hamara sath bhi to choli daman ka hai.

Ji han, may hun apka yaar, dilo ka bahar, raaj dulaar…. Ap sab ka apna mobile phone. Na rabtay ka jhanjat, na khutoot risani mein musibat. Duaen dijye MARTIN COOPER ko jis nay mujhe ejaad kr k ap sab ki mushkilaat ka hal nikaal diya. Kuch arsa pehlay ka zikar hai k tamam doston nay mulaqaat ka mansooba tarteeb diya. Sangat mein shamil MAY, Radio aur T.V bila shuba behad pakkay yaar thay. Mud’dat bad hum sath bethay hansi thatol kar rahy thay. Bethay bethay gappay aur shughal k dauraan achanak T.V ki tabiyat khasi kharab honay lagi, jal buj honay laga. Ye to ab aikeesvi sadi ka daur hai yahan load shedding ma’amul k mutabik aati aur jaati lehaza T.V ko badhazmi hona mumkin tha. Hamari dua thi k T.V jald sehat yaab ho jaey kyun k isay  khidmat-e-khaluq ka behad shauq tha. Duaen kartay huay mjhe kuch hichkiyaan si aani shuru hogaen, ahista ahista ghabrahat barhnay lagi, waqfun ta waqfun dil laraznay laga, yun keh lijye k sansein tham si gaeyn aur may susti k maray behoshi k aalam mein tha. Rehman Malik ko bhi koi dushmani hai mjh say. Ya to sehar mein badamni ka muzahira krta nazar aata hai. Kuch aur nhi to mobile per zulm-o-sitam kar k avam k dilon ki dharkanein  tornay mein laga rehna to  Malik sahab ka baaeyn hath ka khail ban chukka hai.
Meray maa’yaar , sarbulandi, izzat, shohrat ko jitni bhi thais pohcha lay yahan tak k mjhe coma mein bhi bhaij day lakin mjhe avam k dil-o-dimag say her giz juda nahi kar sakta.